fughan se zabt-e-junun ka nizam TuT gaya
ki mere hath se mera hi jam TuT gaya
wahi hain tauq-o-salasil wahi nizam-e-chaman
wo kaun hain jo ye kahte hain dam TuT gaya
zarur pir-e-mughan ka bhi kuchh ishaara tha
ghalat kaha ki muqaddar se jam TuT gaya
bikhar gae meri KHatir hayat ke gesu
kabhi jo shab ke sitaron ka dam TuT gaya
kiya tha jis ne haqaeq se hum ko begana
wo ek nashsha-e-kaif-e-dawam TuT gaya
tumhaare qurb ki saat mein yun hua mahsus
ki jaise silsila-e-subh-o-sham TuT gaya
usul-e-rah-numa se jahan mein ai 'maikash'
hazar dam bane ek dam TuT gaya

Ghazal
Fughan se zabt-e-junun ka nizam TuT gaya
Masood Maikash Muradabadi