fughan se tark-e-fughan tak hazar tishna-labi hai
sukut bhi to ek andaz-e-muddaa-talabi hai
bahut dinon mein hua ahl-e-arzu ko mayassar
wo qurb-e-KHas jahan teri yaad be-adabi hai
KHayal-e-tark-e-talluq junun-e-qat-e-marasim
tamam sai-e-talab hai tamam tishna-labi hai
sukut-e-shoala-e-gul hai ki tera paikar-e-rangin
wo aanch aati hai jaise badan mein aag dabi hai
usi ke faiz se aashob-e-agahi hai gawara
nigah-e-naz hai ya mauj-e-baada-e-unabi hai
na jaane kis tarah tai hoga tishnagan-e-karam se
wo marhala ki jahan arz-e-haal be-adabi hai
faza to naghma-e-gul se bhi chaunk uThi hai lekin
teri shagufta-labi phir wahi shagufta-labi hai
Ghazal
Fughan se tark-e-fughan tak hazar tishna-labi hai
Azeem Murtaza