fughan-e-ruh koi kis tarah sunae use
ki zaKHm zaKHm badan to nazar na aae use
na dekhne ki saza-war jis ko aankh hui
koi piyasa bhala hath kya lagae use
surur lazzat-e-hasil ka kuchh siwa hoga
chalan ata ka agar KHusrawana aae use
mere lahu mein utar aaenge nae mausam
chuni hai dil mein jo diwar si wo Dhae use
khula na us pe kabhi meri aankh ka manzar
jami hai aankh mein kai koi dikhae use
wo raushni ka hawala wo rang-o-bu ka safir
mari jamal-pasandi kahin se lae use
farogh-e-husn shaguft-e-gul o ram-e-shabnam
fareb kaise ye 'shahid' koi sujhae use
Ghazal
Fughan-e-ruh koi kis tarah sunae use
Siddiq Shahid