fitrat-e-ishq gunahgar hui jati hai
fikr-e-duniya bhi gham-e-yar hui jati hai
kitna nazuk hai KHuda rakkhe mohabbat ka mizaj
ab tasalli bhi dil-azar hui jati hai
jab se chhini hai teri yaad ne nind aaankhon ki
dil ki jo his hai wo bedar hui jati hai
aah pabandi-e-adab-e-mohabbat tauba
ThanDi har sans gunah-gar hui jati hai
chhu liya arsh ko mansur ki angDai ne
saf-goi rasan-o-dar hui jati hai
har tajalli hai tere samne sharminda si
chandni saya-e-diwar hui jati hai
shukriya shoKHi-e-husn-e-pas-e-parda ka 'siraj'
aankh be-dekhe gunah-gar hui jati hai
Ghazal
Fitrat-e-ishq gunahgar hui jati hai
Siraj Lakhnavi