fitne jo kai shakl-e-karishmat uThe hain
kuchh dil mein anokhe se KHayalat uThe hain
mahfil mein wo jab bahr-e-mulaqat uThe hain
hamraaz se karte hue kuchh baat uThe hain
aandhi to abhi sahn-e-chaman tak nahin pahunchi
ek jhonke se sukhe hue kuchh pat uThe hain
hir-phir ke wahi samne tha parda-e-auham
kahne hi ko aankhon se hijabaat uThe hain
man mast hain is tarah rawan nafs ke pichhe
sar karne ko goya ki muhimmat uThe hain
ai shaiKH na ye kufr na fitna hai na shar hai
ek hum bhi sunane ko nai baat uThe hain
sairabi-e-jaan dekh ki hum bazm se us ki
aankhon mein basae hue barsat uThe hain
Ghazal
Fitne jo kai shakl-e-karishmat uThe hain
Shaanul Haq Haqqi