fitne ajab tarah ke saman-zar se uThe
sare parind shaKH-e-samar-dar se uThe
diwar ne qubul kiya sail-e-nur ko
sae tamam-tar pas-e-diwar se uThe
jin ki numu mein thi na muawin hawa koi
aise bhi gul zamin-e-KHas-o-KHar se uThe
taslim ki sirisht bas ijab aur qubul
sare sawal jurat-e-inkar se uThe
shahr-e-talluqat mein uDti hai jin se KHak
fitne wo sab raunat-e-pindar se uThe
aankhon ko dekhne ka saliqa jab aa gaya
kitne naqab chehra-e-asrar se uThe
taswir-e-gard ban gaya 'akbar' chaman tamam
kaise ghubar wadi-e-kohsar se uThe
Ghazal
Fitne ajab tarah ke saman-zar se uThe
Akbar Hyderabadi