fitna-saman hi nahin fitna-e-saman nikle
aap to KHana-bar-andaz-e-dil-o-jaan nikle
be-KHudi mein jise hum samjhe hain tera daman
ain mumkin hai ki apna hi gareban nikle
dil pe dhundle se nishan the jo gham-e-duniya ke
wo bhi dar-parda nuqush-e-gham-e-jaanan nikle
phir wahi hum wahi be-raunaqi-e-dida-o-dil
husn ke shoabde ek KHwab-e-gurezan nikle
dard-e-mahrumi-e-jawed bhi ek daulat hai
ahl-e-gham bhi tere sharminda-e-ehsan nikle
jin se aaraish-e-iman ki tawaqqo thi 'azim'
hadisa hai ki wo ghaarat-gar-e-iman nikle
Ghazal
Fitna-saman hi nahin fitna-e-saman nikle
Azeem Murtaza