اردو हिंदी
Fitna-za fikr har ek dil se nikal achchha hai | Shaahi Shayari
fitna-za fikr har ek dil se nikal achchha hai

Ghazal

Fitna-za fikr har ek dil se nikal achchha hai

Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi

;

fitna-za fikr har ek dil se nikal achchha hai
aae gar husn-e-KHayal us ko sambhaal achchha hai

mere ehsas-e-KHudi par na koi zad aae
tu jo de de mujhe be-harf sawal achchha hai

aap manen na bura gar to kahun ai naseh
sahab-e-qal se to sahib-e-haal achchha hai

be-KHayali na rahe KHam-KHayali se bacho
dil mein bas jae jo un ka hi KHayal achchha hai

tere ruKH par ho masarrat to mera dil masrur
tere chehre pe na ho gard-e-malal achchha hai

pursish-e-gham bhi nahin niz mulaqat nahin
aap ko hum se gharibon ka KHayal achchha hai

koi kahta hai mubarak ho tujhe daur-e-firaq
main samajhta hun magar roz-e-visal achchha hai

mulk-giri ki hawas mein ho to fitna KHud hi
aur fitna ko miTae to qital achchha hai

be-niyaz-e-gham-e-uqba jo 'nazar' tujh ko kare
aal-o-aulad wo achchhi na wo mal achchha hai