اردو हिंदी
Fitna phir aaj uThane ko hai sar lagta hai | Shaahi Shayari
fitna phir aaj uThane ko hai sar lagta hai

Ghazal

Fitna phir aaj uThane ko hai sar lagta hai

Anand Narayan Mulla

;

fitna phir aaj uThane ko hai sar lagta hai
KHun hi KHun mujhe rang-e-sahar lagta hai

ilm ki dew-qadi dekh ke Dar lagta hai
aasmanon se ab insan ka sar lagta hai

mujh ko lagta hai nasheman ki mere KHair nahin
jab kisi shaKH pe gulshan mein tabar lagta hai

man lo kaise ki main aib sarapa hun faqat
mere ahbab ka ye husn-e-nazar lagta hai

kal jise phunka tha ya kah ke ki dushman ka hai ghar
sochta hun to wo aaj apna hi ghar lagta hai

fan hai wo rog jo lagta nahin sab ko lekin
jis ko lagta hai use zindagi-bhar lagta hai

ehtiyatan koi dar phoD len diwar mein aur
shor baDhta hua kuchh jaanib-e-dar lagta hai

ek darwaza hai har-samt nikalne ke liye
ho na ho ye to mujhe shaiKH ka ghar lagta hai

chaman-e-sher mein hun ek shajar-e-zinda magar
abhi 'mulla' meri Dali ye samar lagta hai