fitna-e-rozgar ki baaten
aisi hain jaise yar ki baaten
hijr mein wasl-e-yar ki baaten
hain KHizan mein bahaar ki baaten
lala-o-gul kai zikr se behtar
ek jaan-e-bahaar ki baaten
chheD ke sath nok jhok bhi hai
gul se hoti hain KHar ki baaten
sab samajhte hain main kahun na kahun
is dil-e-be-qarar ki baaten
chheD deta hun dil-lagi ke liye
wasl mein intizar ki baaten
jo na tum ruThte to kar lete
aur do chaar pyar ki baaten
nang hain azm-e-mustaqil ke liye
dahr-na-paedar ki baaten
dil-nashin hain basant mein 'kaifi'
ye sharab-o-KHumar ki baaten
Ghazal
Fitna-e-rozgar ki baaten
Chandar Bhan Kaifi Delhwi