اردو हिंदी
Fishaar-e-tirah-shabi se sahar nikal aae | Shaahi Shayari
fishaar-e-tirah-shabi se sahar nikal aae

Ghazal

Fishaar-e-tirah-shabi se sahar nikal aae

Amir Nazar

;

fishaar-e-tirah-shabi se sahar nikal aae
siyah ret pe koi shajar nikal aae

main apni zat ki diwar par hun mahw-e-qalam
bhale hi surat-e-mehrab-o-dar nikal aae

shikasta KHwab ke reze zamin-e-wahshat se
barahnagi ki qaba oDh kar nikal aae

mere guman ke dipak na jal sake shab-bhar
pas-e-yaqin jo jale beshtar nikal aae

nigah-e-shisha-e-hasrat mein qaid ho jate
ye aur baat ki hum waqt par nikal aae

main sang-e-yas pe tahrir kar raha tha kuchh
ki lafz chand baDe mo'atabar nikal aae

siyah raat ki taswir par shikan se abhi
ajab nahin hai ki 'amir' nazar nikal aae