اردو हिंदी
Fishaar-e-husn se aaghosh-e-tang mahke hai | Shaahi Shayari
fishaar-e-husn se aaghosh-e-tang mahke hai

Ghazal

Fishaar-e-husn se aaghosh-e-tang mahke hai

Tanveer Ahmad Alvi

;

fishaar-e-husn se aaghosh-e-tang mahke hai
saba ke lams se phulon ka rang mahke hai

ada-e-nim-nigahi bhi kya qayamat hai
ki ban ke phul wo zaKHm-e-KHadang mahke hai

ye wahshaten bhi meri KHushbuon ka hissa hain
ki mere KHun se daman-e-sang mahke hai

ada-e-naz bhi hai husn-o-ihtizaz ki baat
ki tar-e-zulf nahin ang ang mahke hai

lahu ke phulon se aarasta hai tegh-e-sitam
shafaq shafaq jo ye maqtal ka rang mahke hai

charagh-e-lala se raushan hua hai dasht-e-wafa
hawa-e-dil se ye naqsh-e-farang mahke hai

shakar-labon ke tabassum ki baat kya 'tanwir'
nafas nafas mein mai-e-lala-rang mahke hai