firaun-e-waqt koi bhi ho sar-kashi karo
yaran-e-shahr meri tarah zindagi karo
amrit nahin nasib to zahrab hi sahi
kuchh to ilaj-e-shiddat-e-tishna-labi karo
ye zulmat-e-tamam musalsal nahin qubul
dil ka lahu bala se jale raushni karo
munh dekhi dosti se ab ukta gaya hai dil
yaro karo KHulus se go dushmani karo
hum har-nafas khilaenge apne lahu se phul
tum ehtimam-e-dar-o-rasan har ghaDi karo
har sher aabgina hai mauj-e-KHayal ka
lo kaam ehtiyat se jab shairi karo
kaliyan khilane aaega jhonka nasim ka
tum rah mein hazar fasilen khaDi karo
Ghazal
Firaun-e-waqt koi bhi ho sar-kashi karo
Ajmal Ajmali