اردو हिंदी
Firaq mein dam ulajh raha hai KHayal-e-gesu mein jaankani hai | Shaahi Shayari
firaq mein dam ulajh raha hai KHayal-e-gesu mein jaankani hai

Ghazal

Firaq mein dam ulajh raha hai KHayal-e-gesu mein jaankani hai

Habeeb Musvi

;

firaq mein dam ulajh raha hai KHayal-e-gesu mein jaankani hai
tanab-e-jallad ki tarah se rag-e-gulu aaj-kal tani hai

nahin hai parwa-e-mal-o-daulat safa-e-baatin se dil ghani hai
gada hain hajat-rawa-e-sultan ye kimiya-e-farotani hai

jigar mein hain dagh-e-mahr-o-ulfat shigaf-e-pahlu hai jeb-e-mashriq
shab-e-lahad hai ki subh-e-mahshar ye kis qayamat ki raushni hai

fazael-e-ittihad-e-millat jahan mein wajh-e-muKHalifat hain
muaf hi rakhiye shaiKH sahab ye rahbari hai ki rahzani hai

gharaz na rakkhe mai-e-jahan se to hum bhi qail hon tere waiz
kamal kya jab ummid-e-farda hi illat-e-pak-damani hai

hamein na ras aaya dil lagana ghazab hua phir gaya zamana
koi to kahta hai qaid kar do koi ye kahta hai kushtani hai

raqib ko pas gar biThaya to mujh se hargiz na zabt hoga
miTa hi dun ek din ye jhagDa bas ab to dil mein yahi Thani hai

koi kisi se na dil lagae na sar pe koh-e-alam uThae
nahin bharosa KHuda bachae ki ishq mein jaan par bani hai

khapi hai dil mein hansi tumhaari firaq mein kaundti hai bijli
rahen na kyun ashk-e-surKH jari jigar mein almas ki kani hai

kabhi to aa mere rashk-e-isa hui hai muzmin tap-e-judai
nahin shifa ki ummid baqi numud chehre se murdani hai

hua ye laghar asir tera ki sab ko hai naqsh-e-pa ka dhoka
gale mein jo tauq tha pahnaya wo ab use hisn-e-ahani hai

na tegh-e-qatil ka kyun ho shohra kiya hai jo rang-e-jism aisa
diye jo Tanke to hai ye dhoka badan ka malbus sozani hai

zamin par girte girte hum ko suna gaya kasa-e-sifalin
hua jahan daur-e-umr-e-aKHir ye saz-e-hasti shikastni hai

jigar mein barson khaTak rahegi phunkenge pahlu chamak rahegi
KHayal-e-mizhgan-e-yar-e-jaani sinan-e-dil-doz ki ani hai

azal se rindon ko mai ki aadat hai aur waiz ki sarzanish ki
taKHaluf-e-waza se hai jhagDa na dosti hai na dushmani hai

'habib' piri mein hain rangili wo sabza rangon hi par hain marte
hue hain do din pata nahin hai kisi se gahri kahin chhani hai