firaq-mausam ke aasman mein ujaD tare juDe hue hain
nadi ke daman mein hansrajon ke sard lashe gire hue hain
chamakte mausam ka rang phaila tha jis se aankhen dhanak hui thin
aur ab basarat ki narm miTTi mein thur kanTe uge hue hain
tere dariche ke KHwab dekhe the raqs karte hue dinon mein
ye din to dekho jo aaj nikla hai dast-o-pa sab kaTe hue hain
KHumar kaisa tha ham-rahi ka shumar ghaDiyon ka bhul baiThe
tere nagar ke faqir ab tak us ek shab mein ruke hue hain
use adawat thi us saba se jo mere chehre ko chhu guzarti
wo ab nahin hai to apne aangan mein lu ke Dere lage hue hain
rahoge thame yunhi ye chaukhaT agarche ek bhi nazar na Dalun
hansao mat ghar ko lauT jao ye rag mere sune hue hain
kahan ruke the wo kya shajar the ki jin ke sae mein hum khaDe the
wo dhup kaisi thi jis ki barish se mere sahra hare hue hain
Ghazal
Firaq-mausam ke aasman mein ujaD tare juDe hue hain
seemab zafar