اردو हिंदी
Firaq-e-yar mein kuchh kahiye samjhaya nahin jata | Shaahi Shayari
firaq-e-yar mein kuchh kahiye samjhaya nahin jata

Ghazal

Firaq-e-yar mein kuchh kahiye samjhaya nahin jata

Anees Ahmad Anees

;

firaq-e-yar mein kuchh kahiye samjhaya nahin jata
dil-e-wahshi kisi surat se bahlaya nahin jata

hamin ne chun liye phulon ke badle KHar daman mein
faqat gulchin ke sar ilzam Thahraya nahin jata

sar-e-bazar ruswa ho gae kya hum na kahte the
kisi saudai ke munh is qadar aaya nahin jata

gareban tham lenge KHar to mushkil bahut hogi
gulabon ki rawish par itna iThlaya nahin jata

mahak jaegi meri KHamushi bhi bu-e-gul ho kar
nida-e-haq ko qaid-o-band mein laya nahin jata

udhar wo ahd-o-paiman-e-wafa ki baat karte hain
idhar mashq-e-sitam bhi tark farmaya nahin jata

'anis' uTTho nai fikron se rahen zau-fishan kar lo
maal-e-laghzish-e-mazi pe pachhtaya nahin jata