اردو हिंदी
Firaq-e-yar ke lamhe guzar hi jaenge | Shaahi Shayari
firaq-e-yar ke lamhe guzar hi jaenge

Ghazal

Firaq-e-yar ke lamhe guzar hi jaenge

Zaheer Kashmiri

;

firaq-e-yar ke lamhe guzar hi jaenge
chaDhe hue hain jo dariya utar hi jaenge

tamam raat dar-e-mai-kada pe kaTi hai
sahar qarib hai ab apne ghar hi jaenge

tu mere haal-e-pareshan ka kuchh KHayal na kar
jo zaKHm tu ne lagae hain bhar hi jaenge

miyan-dar-o-shabistan-e-yar baiThe hain
jidhar ishaara-e-dil ho udhar hi jaenge

julus-e-naz kabhi to idhar se guzrega
kabhi to dil ke muqaddar sanwar hi jaenge

yahi rahega jo andaza-e-na-shanasai
tumhaare chahne wale to mar hi jaenge

abhi chhiDi bhi na thi dastan-e-ahd-e-wafa
kise KHabar thi ki wo yun mukar hi jaenge

jamal-e-yar ki nadida KHalwaton mein 'zahir'
agar gae to ye aashufta-sar hi jaenge