اردو हिंदी
Fikr yahi hai har ghaDi gham yahi subh o sham hai | Shaahi Shayari
fikr yahi hai har ghaDi gham yahi subh o sham hai

Ghazal

Fikr yahi hai har ghaDi gham yahi subh o sham hai

Nizam Rampuri

;

fikr yahi hai har ghaDi gham yahi subh o sham hai
gar na mila wo kuchh dinon kaam yahan tamam hai

ab hain hamare nam par saikDon galiyan ye lutf
kahte the tum miyan miyan wo hi to ye ghulam hai

KHair na miliye roz roz yunhi sahi kabhi kabhi
us se bhi inhiraf hai is mein bhi kuchh kalam hai

ai dil-e-be-qarar kuchh kar wo ruke to rukne de
faeda iztirab se sabr ka ye maqam hai

koi kahe bura bhala koi adu ho ya ho dost
aur kisi se kaam kya aap se mujh ko kaam hai

hae har ek ki wo sune kuchh main kahun to ye kahe
aap na mujh se kuchh kahen aap se kab kalam hai

aaj hain hum to jaan-ba-lab kal ko gar aae bhi husul
tum ko kisi se kya gharaz apni KHushi se kaam hai

ye bhi ghazab ka rashk hai KHat to hai nam-e-ghair par
aur lifafe par likha sahw se mera nam hai

kis ko kya shahid-e-naz kis ki hui wafa pasand
kahte hain un ke dar par aaj KHalq ka azhdaham hai

ab hain fareb kis liye hoga yaqin kisi ko ab
tum se wafa ki aarzu ye bhi KHayal-e-KHam hai

tauba ka yan kise KHayal mai ko samajhte hain halal
jis ke liye haram hai us ke liye haram hai

din ho to aafaten ye kuchh raat ho to ye kuchh sitam
kaisi hamari subh hai kaisi hamari sham hai

hijr ke wo sitam sahe ab na rahi hawa-e-wasl
haal yahi hai nama-bar ye hi mera payam hai

sun ke meri fughan ka shor puchha kisi ne kaun hai
bole suna na hoga kya, ye to wahi 'nizam' hai