fikr o ehsas ke tapte hue manzar tak aa
mere lafzon mein utar kar mere andar tak aa
kahin aisa na ho ki ruk jaen qalam ki sansen
ai meri jaan-e-ghazal apne suKHan-war tak aa
warna KHwabon ki tapish tujh ko jala Dalegi
meri jagi hui nindon ke samundar tak aa
sard kamre ki sulagti hui tanhai mein
meri sanson se nikal kar mere bistar tak aa
dar-o-diwar moattar hon teri KHushbu se
dil mein mat aa magar ek bar mere ghar tak aa
us se kahna hai 'salim' agli mulaqat mein ye
KHwab ban kar kabhi aankhon ke muqaddar tak aa
Ghazal
Fikr o ehsas ke tapte hue manzar tak aa
Sardar Saleem