اردو हिंदी
Fikr mein Dube the sab aur ba-hunar koi na tha | Shaahi Shayari
fikr mein Dube the sab aur ba-hunar koi na tha

Ghazal

Fikr mein Dube the sab aur ba-hunar koi na tha

Zakir Khan Zakir

;

fikr mein Dube the sab aur ba-hunar koi na tha
zindagi ki shaKH par puKHta samar koi na tha

ga rahe the apni apni dhun mein sab ghazlen magar
'mir'-o-'ghaalib' 'dagh'-o-'hasrat' ya 'jigar' koi na tha

raat-bhar zulmat mein lipTi bastiyan kahti rahin
chand tare kahkashan jugnu qamar koi na tha

dekhne mein yun ba-zahir sab hamare sath the
jab saron par dhup aai ham-safar koi na tha

KHun ke rishton ki garmi sard thi chaaron taraf
sab tasalli de rahe the chaaragar koi na tha

rind-o-zahid shaiKH-o-sufi sab ke sab tishna hi the
kis ko dete mai-kada jab mo'atabar koi na tha

phir ye socha likh hi bhejun haal-e-dil us ko magar
uD chuke the sab kabutar nama-bar koi na tha

zindagi-bhar bhigti palken thin us ki muntazir
hum se baDh kar KHud se 'zakir' be-KHabar koi na tha