fikr kyun hai qayam karne ki
koi manzil nahin Thaharne ki
dam tak le gai mujhe parwaz
dushmani mere baal-o-par ne ki
us sitamgar ke jaur-e-paiham se
kis ko fursat hai aah bharne ki
jaane kyun hadse nahin hote
jab se Thani hai dil mein marne ki
wo bhi ab ro rahe hain soch ke kuchh
thi KHushi jin ko mere marne ki
husn ki har ada ki zad pe rahe
kitni jurat dil-o-jigar ne ki
dekh kar mujh ko ruKH badal jata
ek surat hai pyar karne ki
kis tawaqqo pe 'ashk' hum jite
gar na hoti umid marne ki

Ghazal
Fikr kyun hai qayam karne ki
Syed Mohammad Zafar, Ashk Sanbhali