fikr ka karobar tha mujh mein
ek raushan dayar tha mujh mein
dagh jaisa kahin kahin hai ab
tu kabhi be-shumar tha mujh mein
main to apne badan se bahar tha
kaun phir be-qarar tha mujh mein
wo udasi zaif thi lekin
ek aasan shikar tha mujh mein
jaane kitne KHayal kaam pe the
kis qadar rozgar tha mujh mein
ab wo baadal bhi hai samundar bhi
jo mahz regzar tha mujh mein
hui barsat to ye bhed khula
kitna gard-o-ghubar tha mujh mein
Ghazal
Fikr ka karobar tha mujh mein
Vikas Sharma Raaz