fikr ka gar silsila maujud hai
fash hai wo bhi jo na-maujud hai
us se mujh se fasla kuchh bhi nahin
ek diwar-e-ana maujud hai
sochta hun kuchh amal karta hun kuchh
mujh mein koi dusra maujud hai
sunta rahta hun tere qadmon ki chap
warna dil mein aur kya maujud hai
hijr mein roe to ji halka hua
dard ke andar dawa maujud hai
haal puchha us ne mujh se baat ki
ab yaqin aaya KHuda maujud hai
ab to 'abid' chashm-e-nam bhi hai KHamosh
roz ek sadma naya maujud hai
Ghazal
Fikr ka gar silsila maujud hai
Abrar Abid