fikr-e-zar mein bilakta hua aadmi
ab kahan rah gaya kaam ka aadmi
zindagi bhi haqiqat mein ek jurm hai
umr bhar kaTta hai saza aadmi
kaun apnae mazi ki parchhaiyan
kaun paida kare ab naya aadmi
KHub-surat si is par kahani likho
ganw ki goriyan shahr ka aadmi
the bahut log mahfil mein baiThe hue
un mein mushkil se ek mil gaya aadmi
ye kamal-e-KHudi hi kaha jaega
KHud hi duniya banane laga aadmi
tum bhi 'sahir' zara is se bach kar raho
ganw se hai alag shahr ka aadmi
Ghazal
Fikr-e-zar mein bilakta hua aadmi
Sahir Shevi