fikr-e-uqba hai mujhe KHwahish-e-duniya hai mujhe
aish ki dhun hai mujhe maut ka dhaDka hai mujhe
maut kahte hain jise zabt ki takmil na ho
ki tanaffus pe bhi fariyaad ka dhoka hai mujhe
husn wo chahiye jo ishq ka aaina bane
yani apne liye apni hi tamanna hai mujhe
tum na ghabrao mujhe tum se koi kaam nahin
apni KHwahish hai mujhe apni tamanna hai mujhe
ye to malum nahin un ka irada kya hai
han nigah-e-ghalat-andaz se dekha hai mujhe
hijr ki shab udhar allah idhar wo but hai
dekhna ye hai ki ab kaun bulata hai mujhe
ek but ek hi but ka hun pujari 'aKHtar'
apne is shirk pe tauhid ka dawa hai mujhe

Ghazal
Fikr-e-uqba hai mujhe KHwahish-e-duniya hai mujhe
Hari Chand Akhtar