اردو हिंदी
Fikr-e-tamir-e-ashiyan bhi hai | Shaahi Shayari
fikr-e-tamir-e-ashiyan bhi hai

Ghazal

Fikr-e-tamir-e-ashiyan bhi hai

Nasir Kazmi

;

fikr-e-tamir-e-ashiyan bhi hai
KHauf-e-be-mehri-e-KHizan bhi hai

KHak bhi uD rahi hai raston mein
aamad-e-subh ka saman bhi hai

rang bhi uD raha hai phulon ka
ghunche ghunche sharar-fishan bhi hai

os bhi hai kahin kahin larzan
bazm-e-anjum dhuan dhuan bhi hai

kuchh to mausam bhi hai KHayal-angez
kuchh tabiat meri rawan bhi hai

kuchh tera husn bhi hai hosh-ruba
kuchh meri shoKHi-e-bayan bhi hai

har nafas shauq bhi hai manzil ka
har qadam yaad-e-raftagan bhi hai

wajh-e-taskin bhi hai KHayal us ka
had se baDh jae to giran bhi hai

zindagi jis ke dam se hai 'nasir'
yaad us ki azab-e-jaan bhi hai