fikr-e-sud-o-ziyan mein rahna hai
bas yahi is jahan mein rahna hai
ek kashakash si jaan mein rahna hai
jab talak dastan mein rahna hai
har taraf aasman phaila hai
sab ko ek saeban mein rahna hai
kal kyun girta hai aaj gir jae
kaun sa is makan mein rahta hai
kitni aasaniyan mayassar hain
kitna mushkil jahan mein rahna hai
kamra-e-imtihan hai duniya
har ghaDi imtihan mein rahna hai
phir lagai sabil aankhon ne
phir se aab-e-rawan mein rahna hai
aab o gil aatish o hawa hain hum
aur isi KHandan mein rahna hai
zindagi puchhte ho kya mujh se
qahqahon ka fughan mein rahna hai
fikr har kas ba-qadar-e-himmat-e-ust
hum ko hindostan mein rahna hai
sansen maghmum ho gain sun kar
'KHalid'-e-KHasta-jaan mein rahna hai
Ghazal
Fikr-e-sud-o-ziyan mein rahna hai
Khalid Mahmood