fikr-e-nau zauq-e-tapan se aai hai
gard thoDi karwan se aai hai
zindagi parchhaiyan apni liye
aainon ke darmiyan se aai hai
sikh kar jadu wo chashm-e-mai-farosh
mahfil-e-jadugaran se aai hai
raat ke afsun jagate hi rahe
nind apni dastan se aai hai
ho liye hum zindagi ke sath sath
ye nahin puchha kahan se aai hai
dagh-ha-e-sina mein ye tazgi
iltifat-e-nagahan se aai hai
kya KHabar tujh ko asir-e-nau-e-bahaar
kitni ranai KHizan se aai hai
inqalab-e-nau mein ye quwwat 'nushur'
mere dast-e-na-tawan se aai hai
Ghazal
Fikr-e-nau zauq-e-tapan se aai hai
Nushur Wahidi