fikr-e-ijad mein hun khol naya dar koi
kunj-e-gul bhej meri shaKH-e-hunar par koi
rang kuchh aur nichoDenge lahu se apne
phir tarashenge hum ek aur naya paikar koi
bhej kuchh taza kumak mere musafir ke liye
phir utarta hai mere dasht mein lashkar koi
aastinon mein hawaon ne chhupaya hua hai
hum ne dekha hai chamakta hua KHanjar koi
kya hua ab ki safar mein ye mujhe yaad nahin
mujh se roya tha bahut der lipaT kar koi
zaKHm aankhon se Tapakta hai lahu ki surat
yun chalata hai mere sine mein nashtar koi
KHud taaqub mein meri ghat lagae kab se
chhup ke baiTha hai mere jism ke andar koi
ek sahil ka tamashai hai bas mera wajud
meri miTTi mein hai poshida samundar koi
apni fikron se lahu karte hain lafzon mein kashid
'shahid' aise nahin hota hai suKHnawar koi
Ghazal
Fikr-e-ijad mein hun khol naya dar koi
Shahid Kamal