fikr-e-besh-o-kam nahin un ki raza ke samne
ye mujhe taslim hai arz-o-sama ke samne
jo talab-na-ashna ho ma-siwa ke samne
hath phailati hai duniya us gada ke samne
ye kamal-e-jazb-e-dil meri nazar se dur tha
aap KHud aa jaenge parda uTha ke samne
sochna paDta hai kyun bebas hun kyun majbur hun
main sar-e-aghaz-o-fikr-o-intiha ke samne
wo to kahiye mera dil aamaj-gah-e-shauq hai
warna kaun aata hai tere be-KHata ke samne
kya bataun meri gharqabi mein kis ka hath tha
naKHuda ko pesh hona hai KHuda ke samne
TuT jaega tililsm-e-rasti-o-rahbari
main agar aaina rakh dun rahnuma ke samne
ai zamir-e-zinda mere har-qadam par ehtisab
nama-e-amal jaega KHuda ke samne
aandhiyan un ko bujha den aandhiyon ki kya majal
main ne wo shamen jalai hain hawa ke samne
shiddat-e-ehsas-e-tauba ka wo aalam hai 'uruj'
jam mere samne hai main KHuda ke samne
Ghazal
Fikr-e-besh-o-kam nahin unki raza ke samne
Urooj Zaidi Badayuni