fikr-e-ahl-e-hunar pe baiThi hai
shairi sim-o-zar pe baiThi hai
pahle hathon mein hath rahta tha
zindagi ab kamar pe baiThi hai
sahmi sahmi hui si har KHwahish
dil-e-wahshat-asar pe baiThi hai
phul kanTon ke beach rahte hain
KHushbu titli ke par pe baiThi hai
aastinen TaTol kar dekho
dosti kis Dagar pe baiThi hai
Ghazal
Fikr-e-ahl-e-hunar pe baiThi hai
Badr Wasti