اردو हिंदी
Firozi tasbih ka ghera hath mein jalwa-afgan tha | Shaahi Shayari
firozi tasbih ka ghera hath mein jalwa-afgan tha

Ghazal

Firozi tasbih ka ghera hath mein jalwa-afgan tha

Ahmad Jahangeer

;

firozi tasbih ka ghera hath mein jalwa-afgan tha
naranji shamon se hujra KHair ki shab mein raushan tha

rah-rawon ne dasht-e-safar mein har ummid sanwari thi
ranj ki rah pe chalne walon ka har KHwab muzayyan tha

raat hui hai KHema to naqe se utara jaega
dip kahan rakkha hai jis mein kuchh zaitun ka roghan tha

rangon ki ye qab ulaT de taswiron par maTi lep
khoj jo sone ke sikkon ka ek goshe mein bartan tha

chin mein sunte hain shayad ab aaina ijad hua
warna ek talab hi apni aaraish ka darpan tha

matam ki aawaz uThai zanjiron ke halqon ne
hath bandhe the gardan se par girya sham-ta-madyan tha