fida allah ki KHilqat pe jis ka jism o jaan hoga
wahi afsana-e-hasti ka mir-e-dastan hoga
yaqin jis ka kalam-e-quds ajr-ul-mohsinin par ho
niko-kari ka us ki qael ek din kul jahan hoga
hayat-e-jawedani paega wo ishq-e-sadiq mein
jo anqa ki tarah madum hoga be-nishan hoga
safar rah-e-mohabbat ka chahal-qadmi samajhte ho
abhi dekhoge tum ek ek qadam par haft-KHwan hoga
hamein gulzar-e-jannat hai azizo bagh-e-dil apna
samajhte ho ki jaan-parwar hai sehn-e-gulistan hoga
jo isar aur hamdardi shiar apna bana loge
to kanTa bhi tumhein rashk-e-gul-e-bagh-e-jinan hoga
ye qissa shama o parwane ka bas ma-washa tak hai
wo ho jaega bazm-ara to phir koi kahan hoga
ada-e-farz bar-haq par khapa do dosto jaan tak
ye wo sauda hai aaKHir ko nahin jis mein ziyan hoga
azal se waizo ke qaul duniya sunti aai hai
amal ka waqt bhi koi kabhi ai mehrban hoga
taghaful aur sitam ke badle hai andaz dildari
sambhal ai shauq-e-be-payan tera ab imtihan hoga
tahi-dastan-e-qismat ko to dam lena qayamat hai
yahan kuchh ho gaya insaf-e-ashiq jo wahan hoga
na samjho khel is ko bazm 'kaifi' mein wo jadu hai
yahan gar zahid-e-KHushk aaega pir-e-mughan hoga
Ghazal
Fida allah ki KHilqat pe jis ka jism o jaan hoga
Dattatriya Kaifi