kaba hai kabhi to kabhi but-KHana bana hai
ye dil bhi ajab chiz hai kya kya na bana hai
jis rose se dil aap ka diwana bana hai
ek lafz bhi nikla hai to afsana bana hai
ye aaj ka din hashr ka din to nahin yarab
apna tha jo kal tak wahi begana bana hai
tinkon ka to bas nam hai sachchai yahi hai
ek jehd-e-musalsal hai jo kashana bana hai
taKHrib ke parde mein hi tamir hai saqi
shisha koi pighla hai to paimana bana hai
takmil-e-wafa hosh mein mumkin hi nahin tha
diwana samajh bujh ke diwana bana hai
duniya mein koi mol na tha 'shauq' ka lekin
qismat hai jo sang-e-dar-e-jaanana bana hai
Ghazal
Kaba hai kabhi to kabhi but-KHana bana hai
Abdullateef Shauq