faza udas hai suraj bhi kuchh niDhaal sa hai
ye sham hai ki koi farsh-e-paemal sa hai
tere dayar mein kya tez dhup thi lekin
ghane daraKHt bhi kuchh kam na the KHayal sa hai
kuchh itne pas se ho kar wo raushni guzri
ki aaj tak dar-o-diwar ko malal sa hai
kidhar kidhar se hawaon ke samne aaun
charagh kya hai mere waste wabaal sa hai
kahan se uThte hain baadal kahan baraste hain
hamare shahr ki aankhon mein ek sawal sa hai
safar se lauT ke aae to dekhte hain 'farogh'
jahan makan tha wahan raston ka jal sa hai
Ghazal
Faza udas hai suraj bhi kuchh niDhaal sa hai
Rais Farogh