faza mein rang se bikhre hain chandni hui hai
kisi sitare ki titli se dosti hui hai
meri tamam riyazat ka ek hasil hai
wahi dua jo tere nam se juDi hui hai
main hadse se nikal aai hun magar dekho
zamin ab bhi mere jism par paDi hui hai
abhi to tu ne mera hath bhi nahin thama
ye kis KHabar se zamane mein sansani hui hai
udasi jonk hai ye KHun chus leti hai
ye baat main ne kahin aur bhi suni hui hai
main tere lams ke jadu se KHub waqif hun
wo shaKH hun jo tere hath par hari hui hai
jo aankhen senk rahe hain unhen KHabar hi nahin
yahan pe KHwab jale hain to raushni hui hai
main lal rang lagati thi nile KHwabon ko
isi liye to ye tabir kasni hui hai
wo mere bare mein kya sochta hai kya malum
KHuda se meri mulaqat sarsari hui hai
main pichhle sal ki taswir bhej deti tujhe
magar ye ek taraf se zara jali hui hai
maza to jab hai ki 'injil' hi lage sab ko
nuzul-e-ishq pe jitni bhi shairi hui hai
Ghazal
Faza mein rang se bikhre hain chandni hui hai
Injeel Saheefa