faza mein naghma-e-awaz-e-pa hai mere liye
karan se ta-ba-karan ek nida hai mere liye
main apni zat mein lauTa to phir mila na mujhe
wo ek shaKHs jo rota raha hai mere liye
sabab hai ranj ka kuchh KHu-e-iztirab meri
kuchh apne aap se bhi wo KHafa hai mere liye
falak tamam hai aaghosh-e-bab-e-mahrumi
shajar shajar yahan dast-e-dua hai mere liye
kisi firaq ki tamhid ban ke rah jaana
tere visal ki taskin bhi kya hai mere liye

Ghazal
Faza mein naghma-e-awaz-e-pa hai mere liye
Mughni Tabassum