اردو हिंदी
Faza mein karb ka ehsas gholti hui raat | Shaahi Shayari
faza mein karb ka ehsas gholti hui raat

Ghazal

Faza mein karb ka ehsas gholti hui raat

P P Srivastava Rind

;

faza mein karb ka ehsas gholti hui raat
hawas ki khiDkiyan darwaze kholti hui raat

ajib rishte banati hai toD deti hai
nai ruton ke safiron se bolti hui raat

ye dhaDkanon ke andhere ye zaKHm zaKHm charag
kiwaD KHali makanon ke kholti hui raat

athah gahra andhera ghazab ka sannaTa
faza mein dard ka tezab gholti hui raat

kidhar se aati hai aawara KHushbuon ki tarah
barhana jism ke sae TaTolti hui raat

na ratjagon ke hain charche na koi gham ka alao
sambhal ke aae zara ghar mein Dolti hui raat

kahan se laenge sabr-o-sukun ke lamhe
ki mere ghar mein hai kohram taulti hui raat

hamare sath hai tanhaiyon ki bhiD mein 'rind'
kisi ke lams ki KHairaat rolti hui raat