faza mein kaisi udasi hai kya kaha jae
ajib sham ye guzri hai kya kaha jae
kai guman hamein zindagi pe guzre hain
ye ajnabi hai ki apni hai kya kaha jae
wo dhup dushman-e-jaan thi so thi KHamosh the hum
ye chandni hamein Dasti hai kya kaha jae
yahan bhi dil pe udasi ka chha raha hai dhuan
ye rang o nur ki basti hai kya kaha jae
koi payam hamare liye nahin na sahi
magar sada to usi ki hai kya kaha jae
hamare ahd ke uljhe hue sawalon ka
jawab sirf KHamoshi hai kya kaha jae
zaban pe shukr o shikayat ke sau fasane hain
magar jo dil pe guzarti hai kya kaha jae
tamam shahr ko kyun chup lagi hai kya jaanen
ghuTan dilon mein ye kaisi hai kya kaha jae
shanaKHt dost na dushman ki mo'tabar 'maKHmur'
har ek shakl hi dhundli hai kya kaha jae
Ghazal
Faza mein kaisi udasi hai kya kaha jae
Makhmoor Saeedi