faza mein daere bikhre hue hain
hum apni zat mein uljhe hue hain
hazar KHwahishon ke but hain dil mein
magar but bhi kabhi sachche hue hain
shanasai mohabbat bewafai
ye sab koi mere dekhe hue hain
hai un ka zikr itna mahfilon mein
hum apni dastan bhule hue hain
hui hai sabt un par mohr-e-alam
wahi jo faisle dil se hue hain
ye dil jab tak zara Thahra hua hai
usi ke dam se hum Thahre hue hain
jalao dil ki har saya ho raushan
andhere chain se baiThe hue hain
jo aansu waqt-e-ruKHsat the amanat
wo ab tak ruh mein taire hue hain
bahut logon ne ki hai dard-mandi
magar ye zaKHm kab achchhe hue hain
guzar jate na jaane kitne tufan
ye do aankhen unhen roke hue hain
Ghazal
Faza mein daere bikhre hue hain
Wajd Chughtai