faza mein bikhre hue rang jhilmilate kya
wahi hawa thi charaghon ko phir jalate kya
shikasta jism tha suraj ka qahr jhele hue
baraste abr ke chhinTe hamein jagate kya
tamam daur ki lahren thin KHwab ki surat
baja thi pyas sarabon mein Dub jate kya
har ek lamha tha apne hi aks se dhundla
guzarte waqt ko hum aaina dikhate kya
labon pe jam gai diwar-o-dar ki KHamoshi
tamam shahr tha viran sada lagate kya
yahan bhi kis ko thi ummid par utarne ki
nadi jo rah mein milti to lauT aate kya
bhaTak rahe hain zamane se gham ke sahra mein
ab aur us ki sada ka fareb khate kya
tamam umr guzari rawan-dawan 'rashid'
the barg-e-KHushk kahin par qadam jamate kya

Ghazal
Faza mein bikhre hue rang jhilmilate kya
Mumtaz Rashid