faza ki phir aasman bhar thi
KHushi safar ki uDan bhar thi
wo kya badan bhar KHafa tha mujh se
ki aankh bhi chup guman bhar thi
ufuq ki phir ho gaya munawwar
lakir si ek ki dhyan bhar thi
wo mauj kya TuT kar giri hai
to kya ye bas imtihan bhar thi
wo ek fasana zaban bhar tha
ye ek samaat ki kan bhar thi
sabab ki ab tak wo puchhta hai
meri udasi ki aan bhar thi
khula samundar ki chand bhar tha
hawa ki shab baadban bhar thi
hamin ne mismar kar dikhai
wo ek rukawaT chaTan bhar thi
shafaq bani aasman mein ja kar
jo KHun ki bund ek nishan bhar thi
na lauT paya wo jaanta tha
ki wapsi darmiyan bhar thi
kisi ghazal mein na aai 'bani'
wo ek aziyyat ki jaan bhar thi
Ghazal
Faza ki phir aasman bhar thi
Rajinder Manchanda Bani