اردو हिंदी
Faza ka rang nikharta dikhai deta hai | Shaahi Shayari
faza ka rang nikharta dikhai deta hai

Ghazal

Faza ka rang nikharta dikhai deta hai

Azra Waheed

;

faza ka rang nikharta dikhai deta hai
hai shab tamam ki sapna dikhai deta hai

lahu ka rang hai miT kar bhi rang laega
ufuq ka rang sunahra dikhai deta hai

wo jis ne dhup ke mele ko chhat muhayya ki
saDak pe us ka basera dikhai deta hai

main kaun hun ki hai sab kanch ka wajud mera
mera libas bhi maila dikhai deta hai

sarab lab pe sajae har ek phirta hai
mujhe to shahr bhi sahra dikhai deta hai

tane ko chhoD ke patton ko thamne walo
tumhein shajar bhi tamasha dikhai deta hai

abhi se kashtiyan sahil pe le chale logo
abhi se tum ko kinara dikhai deta hai

wo saunp jata hai mujh ko hawa ke hathon mein
usi ka mujh ko sahaara dikhai deta hai