اردو हिंदी
Faza-e-sham ziya-e-sahar usi se mili | Shaahi Shayari
faza-e-sham ziya-e-sahar usi se mili

Ghazal

Faza-e-sham ziya-e-sahar usi se mili

Ehteram Islam

;

faza-e-sham ziya-e-sahar usi se mili
kashish hayat ko al-muKHtasar usi se mili

usi se mujh ko mila ishtiyaq manzil ka
mere safar ko faza-e-safar usi se mili

buland martaba-e-musht-e-KHak usi ne kiya
tamam fahm-o-zaka-o-nazar usi se mili

ghurur KHud pe jise jis qadar bhi ho lekin
mili jise bhi mata-e-hunar usi se mili

usi ne zulmat-e-gum-gashtagi ko dur kiya
talash-e-haq ko rah-e-mo'tabar usi se mili

ata karega hamein bhi wahi rida-e-ziya
ki jugnuon ko qaba-e-sharar usi se mili

wo be-KHabar hai nahin ehtiram jis ko KHabar
ki aadmi ko mili har KHabar usi se mili