faza-e-sehn-e-gulstan hai sogwar abhi
KHizan ki qaid mein hai yusuf-e-bahaar abhi
abhi chaman pe chaman ka guman nahin hota
qaba-e-ghuncha ko hona hai tar tar abhi
abhi hai KHanda-e-gul bhi agar to zer-e-labi
ruka ruka sa hai kuchh naghma-e-hazar abhi
chaman to KHair chaman hai nawa-garon ko nahin
KHud apni shaKH-e-nasheman pe iKHtiyar abhi
abhi umid ki sarson kahin na phuli
basant ka hai zamane ko intizar abhi
tahi-subui kisi ki ye kah rahi hai 'sharif'
nizam-e-mai-kada badlega ek bar abhi
Ghazal
Faza-e-sehn-e-gulstan hai sogwar abhi
Sharif kunjahi