faza-e-nilgun ka dhyan chhoD de
parind kis tarah uDan chhoD de
nae jahan ki chemistry samajh
gae hue dinon ka dhyan chhoD de
shurua ho chuki hai jang shahr mein
mohabbaton ko darmiyan chhoD de
zamin chhoD kar kahan rahega tu
ye KHwahishon ka aasman chhoD de
qadam se jo qadam nahin mila raha
use kaho wo karwan chhoD de
nae jahan ka hai karbala naya
tu doston ka imtihan chhoD de
so ab kahani ruKH badal chuki hai dost
yahan purani dastan chhoD de
Ghazal
Faza-e-nilgun ka dhyan chhoD de
Azhar Abbas