faza-e-nam mein sadaon ka shor ho jae
wo muskura de zara sa to bhor ho jae
kabhi jo utrun main raqs-e-suKHan ke sahra mein
to apna haal bhi manind-e-mor ho jae
wo mai-kade se bhi nikle to pak-baz rahe
main us ki aankhon se pi lun to shor ho jae
nazar mein phul ho kaghaz pe ek sahra ho
to yun ghazal ka koi or-chhor ho jae
jo feal-e-asl ko main nazm karne baiThun to
badan se lahr uThe por por ho jae
har ek raat wahi Dish ho zaiqa bhi wahi
to phir mizaj-e-tarah-dar bor ho jae
ye shamiyana suKHan ka qarar-e-jaan Thahra
yahan qayam kare jo paTor ho jae
muraqiba mein koi aage chham se itrae
to phir faqir ke dil mein bhi chor ho jae
magar ye dil ki kisi aur ka nahin rakhta
dimagh kahta hai tu meri aur ho jae
wo ek badan ki jo sar-chashma-e-tasawwur ho
to pa-barahna safar mein bhi zor ho jae
jo sun le 'qasmi' teri ghazal to patthar bhi
majal hai ki wo itna kaThor ho jae
Ghazal
Faza-e-nam mein sadaon ka shor ho jae
Shamim Qasmi