faza-e-lala-o-gul mein wo tazgi na rahi
wo kya gae ki bahaaron mein dilkashi na rahi
qadam qadam pe hain chhae hue andhere se
lahu ke dip jalao ki raushni na rahi
mizaj-e-ishq ne aadab-e-husn apnae
dayar-e-ishq mein wo rasm-e-bandagi na rahi
mere KHulus-e-wafa se abas shikayat hai
nigah-e-naz mein bhi shan-e-dilbari na rahi
chamak uTha hai teri yaad mein harim-e-KHayal
shab-e-firaq fazaon mein tirgi na rahi
teri nigah-e-karam zindagi sanwar gai
jahan-e-dil mein wo pahli si barhami na rahi
chalo ki halqa-e-dar-o-rasan ki baat karen
fasana-e-gul-o-bulbul mein dilkashi na rahi
Ghazal
Faza-e-lala-o-gul mein wo tazgi na rahi
Nazeer Mohsin