faza-e-dil mein ghani tirgi si lagti hai
kahin kahin pe zara raushni si lagti hai
baDa ajib mohabbat ka daur hota hai
kahin pe maut kahin zindagi si lagti hai
chamakne lagti hai har chiz mere kamre ki
tumhaari yaad koi phuljhaDi si lagti hai
main sochta hun kahun kaise bewafa us ko
mujhe to apne hi andar kami si lagti hai
tumhaari yaad ko jab bhi gale lagata hun
mere badan mein koi sansani si lagti hai
koi bahut baDa tufan aane wala hai
jahan bhi dekho hawa chup khaDi si lagti hai
tumhaari soch mein main rang apne bhar na saka
ye sochta hun to sharmindagi si lagti hai
Ghazal
Faza-e-dil mein ghani tirgi si lagti hai
Anubhav Gupta