faza-e-alam-e-qudsi mein hai nashw-o-numa meri
mukafat-e-amal se dur hai bim-o-raja meri
shariat hai azal se mohr-e-paiman-e-wafa meri
tariqat KHatim-e-ehram-e-taslim-o-raza meri
haqiqat hai sawad-e-KHatir-e-be-muddaa meri
harim-e-marifat-da ma-kadar KHud na-safa meri
teri zat-e-muqaddas hai mubarra shirk-e-ghairi se
ki nur-e-zat mein saya-sifat hasti hai la meri
jamal-e-la-yazali shash-jihat se runuma dekha
bani aaina-dar-e-husn chashm-e-haq-numa meri
kisi ka husn tur-afroz mahw-e-lan-tarani hai
dalil nisti hai hasti-e-ishq-o-fana meri
shuhud-e-haq hai ma-bain-e-ghuyub ek jalwa-e-qudrat
hayat-e-jawidan hai ibtida aur intiha meri
azal se mahw-e-didar-e-jamal-e-jalwa-ara hun
nazar bil-ghair ho gar ho nazar mein ma-siwa meri
hadis-e-ishq baala-tar hai harf-o-saut se 'sahir'
kahan main aur kahan taqdir-e-fikr-e-na-rasa meri
Ghazal
Faza-e-alam-e-qudsi mein hai nashw-o-numa meri
Sahir dehlavi